Sushmajee
Miscellanea | Indian Jokes

Jokes

Home | Miscellanea | Jokes

Indian Jokes-8

Previous | Next

 
Indian Jokes-8

1. Modern Geetaa

This is what Bhagavaan Shree Krishn wants to tell you -

Hey .......(Employee),
Agar incentive naheen milaa, Buraa Huaa
Salary cut rahee hai, yeh bhee Buraa Huaa
Extra shift karanee Padegee, voh bhee buree hogee.

Par Hey Arjun,
Tum pichhalaa incentive na milne kaa paschaataap bilkul na karo,
Tum agle incentive kee bhee chintaa na karo,
Bus apanee salary main santusht raho....

Mujhe yeh bataao, ki Tumhaaree pocket se kyaa gayaa, Jo rote ho?
Jo aaya thaa vah sab to ooper kee income thee ;-)

Tum jab naheen the, tabhee bhee company chal rahee thee
Aur, Tum jab naheen hoge, tabhee bhee company chalegee.

So Hey Dhananjaya,
Tum Ne aisaa kaun saa response diyaa, Jo tumhaaraa thaa,
Sab kuch to 'cut-copy-paste' kaa khel thaa.

Tum koee experience leker naheen aaye the..
Jo experience milaa, vah tumako yaheen aa kar milaa...
Jo support tum ne diyaa company ke liye...
Degree lekar aaye the, experience lekar chale.

Jo system aaj tumhaaraa hai...
Vah kal kisee aur kaa thaa....
Kal kisi aur ka hogaa, or parson kisee aur kaa hogaa..
Tum ise apnaa samajh kar kyon magan ho rahe ho?

Hey Kaunteya,
Yahee tumhaaree tension kaa kaaran hai.
"Kyo vyarth chintaa karte ho? kis se vyarth darte ho?
Kaun tumhe nikaal saktaa hai......"

'Policy change' to company kaa rule hai.
Aur Jise tum policy change kahte ho na, vahee to trick hai.
"Ek pal main tum Best performer or Hero no.1 ya Super Star ban jaate ho,
Aur Doosre hee pal main tum worst performer aur apnaa target achieve naheen kar paate ho."

Appraisal, incentive etc etc ko Man se hataa do, Vichaar se mitaa do. . .
Phir company tumhaaree hai or tum company ke.

Hey Arjun,
Na yeh increment vageyrah tumhaare liye hain, na tum inke kabhee the.
Parantu job tumhaaree secure hai :-) Phir tum Tension kyon lete ho........?
Tum apne aap ko company ko arpit kar do.
Yahee sabse bada golden rule hai.
Jo Is golden rule ko jaanta hai,
vah review, incentive, recession, retirement aadi se sadaa ke liye muqt ho jaata hai...


2. The Difference Between a Wedding and a Funeral!

FARQ SIRF ITNA SA THAA

Teree dolee uthee,
Meree mayyat uthee,
Phool tujh par bhee barse,
Phool mujh par bhee barse,
FARQ SIRF ITNA SA THA KI
Too saj gayee,
Aur mujhe sajaayaa gayaa.

Too bhee ghar ko chalee,
Main bi ghar ko chalaa,
FARQ SIRF ITNA SA THA KI
Too uth ke gayee,
Aur mujhe uthaayaa gayaa.

Mehfil wahaan bhee thee,
Log yahaan bhee the,
FARQ SIRF ITNA SA THA KI
Unkaan hasnaa wahaan,
Inkaa ronaa yahaan.

Qaazee udhar bhee thaa, Maulavee idhar bhee thaa,
Do bol tere padhe, Do bol mere padhe,
Teraa nikaah padhaa, aur meraa janaazaa padhaa,
FARQ SIRF ITNA SA THA KI
Tujhe apnaayaa gayaa,
Aur mujhe dafanaayaa gayaa.


3. Different Thinking for Taaj Mahal

As a Bachelor
Takdeer hai, magar kismat naheen khulatee
Main taajmahal banaanaa chaahataa hoon
lekin mumtaaz nahee milatiee

As a Lover
Takdeer hai, magar kismat naheen khulatee
Main taajmahal banaanaa chaahataa hoon
Mumtaaz to mil gayee hai magar woh shaadee hee naheen karatee

As a married one
Takdeer hai, magar kismat naheen khulatee
Main taajmahal banaanaa chaahataa hoon
Lekin mumtaaz naheen maratee

After 5 years of Marriage
Taajmahal kyaa cheez hai
Main isse bhee badee imaarat banaaungaa
Mumtaaz to mar ke dafan huee thee, tujhe to main zindaa hee dafnaaungaa

 

 

Home | Miscellanea | Jokes

 

Previous | Next

Created by Sushma Gupta On May 27, 2001
Contact: sushmajee@yahoo.com
Modified on 09/24/13